kisi se kya gila rakhna.....
bas apna andaaz rava rakhna...
apne andazz se khushrangi chaai
mehki hui fiza kaise rakhna
zindagi ka hisaab hai sar pe
dar-e-guzar ise uthaye rakhna
milne-julne se pyaar badhta hai
milne-julne ka sisila rakhna
judaai ka sabab agar aaye ek din
iski kuch palien tum samaye rakhna
kya bharosa kab kaha ye shamo-sehar dhal jaye
zindagi ka safar bas achcha rakhna...
dusron ki burai se pehle
roo-ba-roo apne aks aaina rakhna
aa bhi jaye kabhi judaai ka aalam
dil main fir milne ki duaa rakhna
No comments:
Post a Comment